Wednesday, April 14, 2010

Ibne Jozi aur SALUNI

Ibne Jozi ne ek din minber per yehi dawa kiya (Saluni ka) to ek khatoon ne daryaft kiya k:
"is ravayat k mutaliq kya khayal hy k Amiral Momineen (as) ko jb Salman (ra) ki wafat ki khbr mili to ek hi rat me Madain puhunch gaye aur unki tajheez o takfin ki."
Ibne Jozi ne taslim kiya. "han durust hy."
Phr us ne poocha k:
"is ravayat ke mutaliq kya kehte ho ke khalifa saalis 3 din tk dafan na ho sake halanke Amiral Momineen (as) Madine hi me tashrif farma the."
Kaha "han ye bhi durust hy."
Is ne phr poocha:
"in me Amiral Momineen ka kaun sa iqdam durust tha aur kaun sa galat."
Ye sun kr Ibne Jozi k pas jawb na raha.
Khatoon ne agla sawal kiya.
"ae Ibne Jozi! Kya main Pooch sakti hon ke Ummul Momineen (Aisha) ka (Jange Jamal ke liye) nikalna kis zel me ata hy."
Iske bad ibne jozi ke liye jawab ki gunjaish na thi.
.
Ref. Hazrat Ali Ki Peshen Goiyan by Agha Gul

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...