Monday, November 30, 2009

Quantum Mechanics vs General Relativity



. . . But what about Gravity, Einstein's General Relativity, where does That fit in at Quantum Level. Quantum Mechanics tells us how all of Nature Forces work at microscopic room EXCEPT the force of gravity. Absolutely No One could figure out how gravity operates when you get down to the size of atom and the sub-atomic particles. That is no one could figure out how to put General Relativety and Quantum Mechanics together into One Package.
.
The Elegant Universe

Quantum Mechanics



Quantum Mechanics says that you can't know the certain way outcome of any experiment you can know only the signs of certain probability to the outcome of any experiment. And this Einstein disliked intensively he used to say "God does not throw dice". Yet experiment.. after experiment showed Einstein was wrong. And Quantum Mechanics really does describe How The World Works at sub-atomic level.
.
The Elegant Universe

Saturday, November 28, 2009

Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya



Wo Udaas Dhoop simait Kr,
Kahin Wadiyon Mein Chal Dia,

Ay Mere Dil Tu Na De Sada,
Jo Guzar Gya So Guzar Gya

Ye Safar Kitna Taveel Hai,
Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai,

Kahan Lot Kr Koi Ayega?
Jo Guzar Gya So Guzar Gya

wo Wafaien Thi ya Jafaien Thi,
Ye Na Soch Kis Ki Khataien Thi,

Jo Tera Hai UsKo Gale Laga,
Jo Guzar Gya So Guzar Gya

Ye Duniya aik Fareb Hai,
Yahan Koi Kisi Ka ApNa Nahi,

Ye ujaary Mehlon Ki Sun Sada,
Jo Guzar Gya So Guzar Gya...!

Wednesday, November 25, 2009

Tongue Twister




"The sixth sick sikh's sixth sheep is sick."


(most difficult tongue twister, according to Guiness Book of World Records)

Jub Log Juda Hojaty Hyn

Jub log juda ho jatey hein

Sub Ehad hawa ho jatey hein

Jub niyat mein fatoor sa ho

Sub amal gunah ho jatey hein

Jub terey barey mein sochtay hein

Sub lafz dua ho jaty hein

Jub ghurbat dar pe dastak day

Sub yaar khafa ho jaty hein

Jub waqt dikhata hai ankhen

Sultan gada ho jaty hein

Tu jub b mere sath na ho

Tehwar saza ho jaty hein

Jub nafrat lafzon me utray

Tab apny juda ho jaty hen

Ye duniya hai ay dost mere

Yahan insan khuda ho jaty hein.

Seene Mai Dil Hy, Dil Mai ALI Hy




Nazron Me Na Dolat He Na Sonay Ki Dali He,
Seenay Me Mere Dil He Or Dil Me ALI He.

Khaliq Ne Hmen Jiski Telavat Ka Dya Hukam,
Konen Me Wo Bolta Quran ALI He.

Jisko Kaho Me Maan Lu Per Ye To Btado,
Kya Zaat Wo Aghosh e PAYAMBER Me Pali He.?

Heran Hui Dunya Mere Chehray Ki Chamak Per,
Mitti Dar e HAIDER Ki Jo Mathay Pe Mali He.

Tum Meri Aqeedat Ko Najaf Me Kahin Dhundo,
Wo Mera Muhalla He Wohi Meri Gali He.

Ab Ye Alam Hy Ke Gham Subhi Maza Dete Hyn




Yun hi tanhäi me ab D¡L ko saza dete hn,

Naam likhte hn tera
likh k mita dete hn,

Jb B nääkäm mohbt ka koi zikr kre,

Log hansty hn mera naam bta dete hn,

Ab khushi ki koi tarkeeb na søøjhay humko,

Ab ye aalam he k ghum sub hi maza dete hn,

Kya zrurat he Bad'Dua ki, zehmat ki,

Lo hum khud hi nasheman ko jala dete hn,

Ab tassali nhn di jati Mareez.E.Dil ko,

Dekhne wale hi marne ki Dua dete hn.

Maine Dekha Hy Ek Khawb Sa



Maine dekha hai ek khuwab sa,
tere her swaal k jawab sa.

Meri hasti jis main zameen si,
tera wujood jahan aaftab sa.

Tujhse judai lage gunah si,
jahan rishta apna sawaab sa.

Jahan char su hai andheri raat,
or sirf tu roshan mahtaab sa.

Jahan hr koi hai ek kora kaghaz,
or tu meri zeest ki kitaab sa.

Meri wafa jahan guldaan si,
or tu is main haseen gulaab sa.

Maine dekha hai ek khuwab sa,
tere her sawaal k jawaab sa.

Ik arzoo hy puri parwrdgar kre,

Men dair se jaon wo mra intzar kre.

Apne hathon se sanwarun zlfein uski,

Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,

Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal ac ya RAB!,

K bheegi zulfon se mujhe
bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun Wasi,

Wo roke or ik raat ka israr kre,

"Qasam khuda ki main kisi or ka ho nhi sakta",

Ye wada-e-wafa wo bar bar kre...
.
Wasi Shah

KEHNA

Aseer-e-dasht-e-wafa ka
na majra kehna,

Tamam poochne walon ko bs dua kehna..

Ye kehna k rat guzrti hai ab bhi aankhon me,

Tumhari yaad ka qaaim hai sisila kehna..

Yeh kehna k chand nikalta hai baam pr ab bhi,

Mgr nahi woh shab ka ab maza kehna..

Ye kehna k
hum ne hi toofan me daal di kashti,

Qasoor apna hai darya ko kya bura kehna??

Yeh kehna k tum se bichhr k
bikhar gaya hun me,

K jesy hath se
gir jaey "AAINA" kehna....!

Saturday, November 21, 2009

Aana Hai to Khud He Chale Aao

http://www.second-man.com/wp-content/uploads/Ryan/Naima/roma_coat_brown_back.jpg

Aana Hai to Khud He Chale Aao,

Apni to Aadat Hai Bulaya Nahi Karte,

Kabhi Humse Khafa Hone Ka Tasawwur b na Karna,

Hum Aise Sitam gar Hain Manaya Nahi Karte,

Jis Dar Pe Gaye Hain Aik Bar Gaye Hain,

Pihr Laut Kar Kabi Us Dar Pe Jaya Nahi Karte,

Ankhon Se Pilao gy to aa Jayengy Peene,

Paimaano'n se Peene Tau Hum Jaya Nahi Karte,

Apna to Shaiwa Hai Gaur se Sun Lo,

Khud He Tarap Lete Hain Tarpaya Nhi Krte.

Kis Zarf Ka Haamil Ha Azadar ka Seena

Kis Zarf Ka Haamil Ha Azadar ka Seena,

Na Bughz, Na iLhad, Na ohaam, Na Keena,

Chhaati main Basa ha Kahin Karbal ya Madina

Shabbir (as) Ka Dushman Yahan Reh Paya Kabhi Na

Seenay Pay Jo Matam Ki Ye Tahreer Chali hy

Seenay Main ha Dil, Dil Main Hussain (as) ibn-e-Ali (as) hy

Uth'ta ha jo Matam Ko Azadar Ka Panja

Tahzeeb k Seenay pay ha Affkar Ka Panja

Islam Ki Bunyad Ka Dhancha Bhi Yeh hi hy,

Rukhsar-e-Yazeedi pay Tammacha Bhi Yeh hi hy.

Thursday, November 19, 2009

Mai Bikhar Ke Phir Na Simat Saka



Kabhi mom ban k Pighal gya

Kabhi girte girte Sambhal gya

Wo ban k Lamha Guzer gya

Mere paas se Nikal gya

Usay Rokta b to Kis Tarah

K wo Shakhs itna Ajeeb tha

Kabhi Tarap utha Meri aah se

Kabhi Ashk se na Pighal ska

Sar-e-Rah mila wo Agr kabhi

To Nazar Chura k Guzar gya

Wo Utar gya Meri Ankh se

Mere Dil se Kyun na Utar ska

Wo Chala gya Jahan Chhor k

Main Wahan se Phir na Palat ska

Wo to Sambhl gaya Mujhe chorr k

Main Bikhar k Phir na Simat saka

Amazing Facts

1. Los Angeles contains More Cars than People.


2. Napoleon a gr8 General in the History, was afraid of Cats.


3. At christmas 0f 1969, Black Snow fell in Sweden.


4. Wearing Head Phones for just an hour will increas the Bacteria in ur ear by 700 times.


5. A Duck's Quack does not have echo !!

Tum b Wohi rahy Hum b Wohi rahy

http://www.lies-veldeman.com/wp-content/uploads/2009/08/Silent_love.jpg

Tum to Bichar Gaye Magar Sapne Wohi Rahy
Mosam Badal Gaye Magar Manzar Wohi Rahy
Hoti Rahein Sargoshian Tanhaion k Saath
Lehrain Badal Gain Magar Sahil Wohi Rahy
Kuch Aisy Taqdeer ne Faislay Kiye
Duaien Badal Gain Magar Daman Wohi Rahy
Hum Chah k b Umar Bhar Nashad hi Rahy
Umr Beet Gai Magar Jazbey Wohi Rahy
Kia Howa jo Rishton ki Pehchan Badal gayi
Hum b Wohi Rahey or Tum b Wohi Rahey...!

Colleges Styles

http://www.crestock.com/images/170000-179999/174926-xs.jpg
1.
Books in Bag, Coat in Hands,DOW

2.
Books in Bags, Long Hair, LUMS

3.
Books Spread on Grass, IBA

4.
Books in Library, Bags at Home, CBM

5.
No Books but Mobile in hands,IQRA

6.
Books in Bags, Bags on Shoulders, NED

7.
Books in Bags, Ciggarete in Hands, SIRSYED

8.
No Books, Flag in Hands, URDU

9.Book not Purchased, MAJU

10.
Rolled Book in Jeans, SZABIST

11.
Book in Hands but far from Depart, KU.

12.
Books in Hands, Books in Bag,Books in Dreams phir bhi Fail,
C.A.

Insaan, Khudmukhtar ya Majboor


ایک دن ایک شخص نے امام علی ابن ابی طالب سے پوچھا کہ انسان کتنا مجبور ہے اور کتنا مُختار ؟
آپ نے فرمایا اپنی ایک ٹانگ اُٹھا ، سوال کرنے والے نے اُٹھا لی پھر کہا اب دوسری بھی اُٹھا تو کہنے لگا یہ تو ممکن نہیں ہے۔
آپ نےکہا بس انسان اتنا ہی مجبور اور اتنا ہی مختار
انسان کے دائرہ اختیار میں بہت کچھ ہے اور بہت کچھ نہیں بھی۔
آپ کے جواب نے علم کی پیچیدگیوں کو جس طرح سلجھایا اس کی مثال کہیں نہیں ملتی ہزاروں مباحثے اور منا ظرہ بھی جس معاملے پر کسی نتیجہ تک نہ پہنچیں اُسے باب العلم امام علی ابن ابی طالب نے ایک جملہ میں قیامت تک کے لیے ہر انسان پر آسانی سے واضح کر دیا کہ سب کچھ پہلے سے طے نہیں ہوتا ہے حضرت انسان خود بھی صاحب اختیار ہے جو خود اپنے قول فعل سے جنت یا جہنم کا حقدار بنتا ہے۔

وسلام کامران عارف

Wednesday, November 18, 2009

Frog to Najoomi

http://brilliantleap.com/blog/frog.jpg

Frog to Najoomi:
Plz tell my Future!

Nujoomi:
A Young Smart Girl will Touch your Body.

Frog:
WÖW! when & where?

Nujoomi:
Next Year,in Bioloy Lab..!

Muhabbat Muqaddar Hy

Møhäbat Muqaddar Hai Ek Khuwab Nhi

Ye Wo Rishta Hai Jis Mein Sub Kamyab Nhi

Jinhe Sath Mila Unhe Ungliyon Pr Gin Lo

Jinhein Mili Judai Unka Koi Hisäb nhi

Tuesday, November 17, 2009

Meri Rooh Ki Haqeeqat


Koi Hum Nafs Nahin Hai Koi Raazdaan Nahin Hai
Faqat Ek Dil Tha Apna So Vo Mehrbaan Nahin Hai

Kisi Aur Gham Main Itni Khalish-e-Nihaan Nahin Hai
Gaham-e-Dil Mera Rafiqon Gham-e-Raayegaan Nahin Hai

Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Poochho
Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjumaan Nahin Hai

Kisi Aankh Ko Sadaa Do Kisi Zulf Ko Pukaaro
Barhi Dhoop Par Rahi Hai Koi Saayebaan Nahin Hai

Inhi Pattharon Pe Chal Kar Ager aa Sako to aao
Mere Ghar ke Raste Main koi Kehkashaan Nahin Hai
...

Monday, November 16, 2009

HATE TERRORISM


Dekho Aik Laash Pri hy
Lahu me Lithri,
Khaak Aluda
Ghair ya Apna,
Kon hy Jane
Aao Dekhe or Pehchane
Naqsh mita Dalay Bomb ne
Rangat Khoon me Doob gai hy
Jaib Tatolo Kia Rkha hy
Das das k do Note rkhe hyn
Hath jo Neeche Daba Hua hy
Is ki Sakht Garift me Kia hy
Shayad hy School ka Basta
Ye ek Parcha hy,
Khat hy Shayed
Tooti Phooti c Urdu me
likha hy

"Aj Jo Bhoolay naya Bast Mera
Katti ho Jyegi Apse
Toffee b Lana
Payare Abbu jaldi ana"

HATE TERRORISM . . .

Usy Dil Ka Haal Suna Diya

Bari Purskon thi Zindgi,
Naya Dard Kis ne Jaga dia.
Kisi Bayniaz Nigah ne,
Mari Wahshaton ko Brha dia,
Mary Humsafar ka ye Hukam tha,
K Kalam Us se Main Kam kron,
Mary Hoont Aisy Silay k Phir,
Meri Chup ne Us ko Rula dia..
Mujhy Apny Ishq pe Naz tha,
Magr us k Qoal ka Pass tha,
Mary Chara saz b Ro pary,
Wo Kamal-e-Zabt Dikha dia...
Usay Shair Sun'ny ka Zoq tha,
Mujhy Arz-e-Haal ka Shoq tha,
Isi Zoq-o-Shoq main Aik din
Usay Dil ka Haal Suna Dia!

Ek Talakh Haqiqat

http://www.sequenza21.com/uploaded_images/20040926autumn_leaf-770478.jpg


Tmko ek ta£kh haqeqt b bta dyty hain...

Jisko aksr ye £og chhupa dyty hain...

Tum ny girty howay patton ko to dekha ho ga...

Apni hr sans wo tanhaE py ganwa dyty hain...

Kya khob sajaty hain baharon mai shajr ko...

karri dohp mai apna aAp ja£a dyty hain...

kitny by-reham shajar hain, naye patton ki khoshi mai...

Pee£y patton ko khizaon mai gira dyty hain...

Or jo girty hain qadmon mai shajar k...

£og inhe patton ko pairon mai daba dyty hain.

Jo Nahi Mila So Nahi Mila


Mujhe Roz-o-Shab ki Kitab me

Koi Harf Aisa Na Mil Saka

Jise Misl-e-Gul ka Khitab Doon
Jise Chandni ki si Taab Doon

Jise Dhoond kr Jise Khoj kr
Rukh-e-Asmaan Pe Saja Bhi Doon

Mere Khoon-e-Dil ki Nigarishen
Meri Rooh tak k Fashaar bhi

Yahan Ilm-o-Fun ki Dukan pr
Barre Sasty Daamon se Bik Gaye

Muje Torr kr Muje Morr kr
Mere Doston ne Jala Dia

Rah-e-Zindagi k Ghubaar me
Meri Khaak tak Ko Urra Dia

Muje Phir b Koi Gila Nahi
Jo Nahi Mila So Nahi Mila..!!

Sunday, November 15, 2009

Suna Hy.. Is Muhabbat Main..


Suna hy es Muhabbat mein

Boht nuqsan hota hy

Mehkta jhoomta jevan

Ghamoun k naam hota hy

Suna hy
chain kho kr wo

sahar se sham rota hy

Muhabbat jo b krta hy

Boht baDnam hota hy

Suna hy es Muhabbat mein

kahen B Dil nahi lagta

Bina us K nigahoun mein

koi mosam nahi jachta

Khafa jis sy Muhabbat ho Wo jevan bhar nahi hansta

Boht anmol hy wo Dil

Ujjar kr phir nahi basta.
Suna hy iss mahabbat main bht nuqsaan
hota ha.


BROKEN HEART -€

LA FATA ILLA ALI (S) LA SAIF ILLA ZULFIQAR


Kaat Kr Phr Bat Meri Ye Kia Usne Sawal

Kiun Madad HYDER(S) se Lete ho Bajae ZULJALAL

Mein ye Bola!

Apni Boseedah Kitabain to Khangal

Un mein Mil Jaegi Tjhko Jang-e-Khybar o Khandaq Ki Misal

Tjhpe ho Jayega Sabit Behas ye Bekar

HyNara~E~HYDERI Lagana Sunnat~E~SARKAR(saww) hy

Mu bana kr Tilmila kr Phr Chali Uski Zuban

Tu hy MAULAI to HYDER(S) k Fazail kr Bayan

Me ye Bola!

Is Qadar Bardasht hy Tujh mein Kahan!?

Soch le Dil pe Tere Girne Lagengi Bijliyan

Teri Sehat k Lye Kafi hy ye Ghaibi Pukar

"LA FATA ILLA ALI (S) LA SAIF ILLA ZULFIQAR"

3 Beautiful Quotes


"Deepest feeling is always felt in silence"

"There is no true love without jealousy"
"A thing lost is valued the most always"

MUHARAM-UL-HARAM & EID-UL-AZHA


1. Saal ka akhri mahina b qurbani, pehla b qurbani.

2. Wo b 10 ko, ye b 10 ko.

3. Wo b NABI ka LAAL, ye b NABI ka LAAL.

4. Unki yad b manaty hyn, inki yad b manaty hyn.

5. Yeh ZABH-E-AZEEM, woh SHAHEED-E-AZEEM.

6. Inhon ne KHAWAB nibhaya, unhon ne WADA-E-TIFLI nibhaya.

7. Wo SABR ki IBTIDA, ye SABR ki INTIHA.

8. Yeh KAABA k banany waly, woh KAABA ko bachany waLy.

Saturday, November 14, 2009

Why Should I Fear of Die

http://adreampuppet.files.wordpress.com/2008/02/rumi.jpg


I died as a mineral and became a plant,
I died as plant and rose to animal,
I died as animal and I was Man.
Why should I fear? When was I less by dying?
Yet once more I shall die as Man, to soar
With angels bless'd; but even from angelhood
I must pass on: all except God doth perish.
When I have sacrificed my angel-soul,
I shall become what no mind e'er conceived.
Oh, let me not exist! for Non-existence
Proclaims in organ tones, To Him we shall return.

















از جمادی مُردم و نامی شدم

وز نما مُردم بحیوان سرزدم

مُردم از حیوانی و آدم شدم

پس چه ترسم کی ز مردم کم شدم

حملهء دیگر بمیرم از بشر

تا برآرم از ملایک بال و پر

وز ملک هم بایدم جستن ز جو

کل شییء هالک الاوجهه

بار دیگر از ملک پران شوم

آنچه اندر وهم ناید آن شوم

پس عدم گردم عدم چو ارغنون

گویدم کانا الیه راجعون

Khoon Sasta Hy Musalmano ka


Agar Yehi Haal Raha Saqi Mekhano Ka

Dhair Lag Jaye ga Toty Hue Pemano Ka

Qehet Dunya Me Hy Ab Aisy Musalmano Ka

Zor Jo Tor Diya Karty Thy Tofanano Ka

Koi Khalid Hy
Na Tariq Hy
Na Ibn.e.Qasim

Rasta Saaf Hy Barhte Hue Sahaitano Ka

Jis Jaga Chaho Jahan Chaho Baha Do Isko

Khoon is Daur Me Sasta Hy Musalmano Ka

!!!

Mera Mulk Jal Raha Hy

http://www.planetark.com/images/wefull/l2kids301008.jpghttp://crs.org/pakistan/img/pak-baluchistan-earthquake-2008-1.jpg

Gham-e-Zindagi Sunaon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Main Khushi Kaha Se Laon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Tumhen Yeh Gila Hy Jana K Mizaj Kyon Nahi Bharm!
Kaho Kese Muskraon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Thmen Eid Ki Khushi Hy Mujhe Yad Hy Wo Lekin..
Main Ye Kaise Bhool Jaon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Hy Dagar Dagar Asarat' Hy Qadam Qadam Shahadat.
Sar e Rah Dagmagaon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Mera Zakhm Zakhm Seena to Lahu Lahu Safina.
Main Nishaat Kaise Paon Mera Mulk Jal Raha Hy!
Mera Mulk Jal Raha Hy !!! :'(

Malangon ki Nigahon main ...

ملنگوں کی نگاہوں میں عجب مستی نظر آئی
بلندی آسمانوں کی انھیں پستی نظر
آئی
کبھی بہلول نے بیچی کبھی حر نے ہے خریدی
خدا وندا تیری جنت بڑی سستی نظر
آئی
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...