Monday, December 6, 2010

In the Remembrance of Haleem Brohi

In the Remembrance of Halim Brohi
Thursday, July 29, 2010

"Ap meri bat ghaur se sun lo, mai ager dunya chhor k chala gaya to koi
dusra (mujh jesa)nahi ayega aur na rahega jo ap ko insani fitrat ko
cheer phar ki us k aantain nikal kar tmhe dikhaye. 60 70 sal ki umar
mai achanak insan ko ehsaas hone lagta hai k buhut kuch tha is zindagi
mai (karne k lye) per reh gaya."
(Haleem Brohi)
.
Haleem Brohi Kal Sham ko (28 July 10, 15 Shaban) Wafat Pa Gai!
Haleem Brohi 5 Aug 1935 me Hyd me Janam Liya. Eng aur Sindhi me 10
Kitaben Likhen!

Hadees: Aqalmandi

Hadis: Aqalmandi

"Aqalmandi Ki Bunyad Allah Ka Khauf Hy."
Imam Sajjad as
Ref. Khisaal. Ch.3. H. 73

Friday, July 23, 2010

What a Mankind!

A SILENT MSG:

What's most Suprising about Mankind?

They lose their Health 2make Money & then lose their Money 2Restore
their Health!

By thinking About Future,they 4get Present
Such that,they Live Neither 4 Present nor 4 Future!

They live as They 'll Never Die &
Then
They Die, as they had Never Lived.

--
Sent from my mobile device

..<abro>

Monday, May 3, 2010

Kabi Thak k So Gaye

Kabi thak k so gaye hum
Kabi raat bhar na soye
Kabi hans k ghum chhupaya
Kabi munh chhupa k roye
Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna k roye
Mere Azmane waley mjhey azma k roye
Shab-e-Gham ki aap beeti jo sunayi Anujman main
Kai sun k Muskraye
Kai Muskura k roye,
Main hun Be-Watan Musafir
Mera naam Be-Kasi hai
Mera koi b nahi hai jo Galey laga k roye
Mere paas se Guzar kr mera Haal tak na pucha
Main ye kese maan jaun k wo door ja k roye..

Sunday, April 25, 2010

Rooh Amre Rabbi

"Aur Log Tm Se ROOH Ke Babat Sawal Karte Hyn Pas Tum Keh Do Rooh AMRE RABBI hy (Khuda Ke Hujum se Hy)"
-Quran
.
WA LILLAHE L KHALAQO WAL AMRO
Malik-e-Alam-e-Amr o Alam-e-Khalq Khudavande Alam hy
.
Wazeh ho k jo kch pemaish o miqdar me aye us ko Alame Khalq kehte hyn. Aur jis ka taluq pemaish o miqdar se na ho wo Alame Amr kehlata hy. Pas Rooh ka taluq Alame Amr se hy kyon ke is ki masahat nahi ho sakti. Usi ki taraf Rasool (saww) ne irshad farmaya:
"Tm Alame Khalq Me Reh Kr Alame Amr Ki Ashya Ki Mahiyat Nahin Samajh Sakte."
Rf. Meraj us Sa'adah
Moulana Ahmed Naraqi
30

Wednesday, April 14, 2010

Saluni Qabl An Tafaqqaduni

[POOCHHO MUJH SE IS SE PEHLE KE MUJHE KHO DO]
MOULAE KAINAT ALI BIN ABI TALIB alaihs salam
.
_Ek Yahudi Alam ne Sawalat Kiye...
-Tamam Ashya Ki Asal Kya Hy?
_Moula Ne Jwb Diya:
--"Tamam Ashya Ki Asal Pani Hy Jesa K Irshade Ilahi Hy Ke HUM Ne Her Chez Ko Pani Se Peda Kiya Hy."
-Jamadat Kaun Hyn Jinhon Ne Kalam Kiya?
--"Wo Zamin o Asman Hyn Jin Ke Mutaliq Irshad e Khuda-Wande Alam Hy Ke Zamin o Asman Ne Kaha Ke Hum Donon Mutee' o Farmanbardar Ban Kar Hazir Hyn."
-Wo Kaunsi Chez Hy Jo Ghatti Barhti Hy Magar Koi Dekh Nahi Pata?
--"Wo Din Aur Rat Hyn."
_Phr Nahayat Ajib o Garib Sawal Kiya Gaya.
-Wo Kaunsa Pani Hy Jo Na Zamin Ka Hy aur Na Asman Ka?
_Amiral Momineen ne Foran Jwb Diya:
--"Ye Pani Un Dorte Hue Ghoron Ka Pasina Hy Jinhen Hazrat Suleman Ne Bilqees Ke Pas Bheja Tha."
_Ulma Ne Warta Herat Me Dalne Wala Sawal Kiya
-Wo Kaunsi Chez Hy Jo Bejan Hote Hue Bhi Sans Leti Hy?
_Baab-e-Ilm Ne Farmaya:
--"Wo Subh Hy Jis Ke Mutaliq Khuda-vande Alam Ne Farmaya hy: Qasam Hy Subh Ki Jb Ke Wo Sans Le."
_Ulma Poori Tayari Ke Sath Aye The, Daryaft Kiya:
-Wo Kaunse Qabr Hy Jo Apni Amanat Liye Phirti Thi?
_Ek Lamhe Main Jawab Mila:
--"Wo Qabr Shakam Mahi Hy Jo Samander Main Janab Younis Ko Liye Phirti Thi."
!!!
Ref. Hazrat Ali Ki Peshen Goiyan
By. Agha Gul
Page. 25, 26
.
(Man Kunto Maulaho Fahaza Aliyun Maula)

Ibne Jozi aur SALUNI

Ibne Jozi ne ek din minber per yehi dawa kiya (Saluni ka) to ek khatoon ne daryaft kiya k:
"is ravayat k mutaliq kya khayal hy k Amiral Momineen (as) ko jb Salman (ra) ki wafat ki khbr mili to ek hi rat me Madain puhunch gaye aur unki tajheez o takfin ki."
Ibne Jozi ne taslim kiya. "han durust hy."
Phr us ne poocha k:
"is ravayat ke mutaliq kya kehte ho ke khalifa saalis 3 din tk dafan na ho sake halanke Amiral Momineen (as) Madine hi me tashrif farma the."
Kaha "han ye bhi durust hy."
Is ne phr poocha:
"in me Amiral Momineen ka kaun sa iqdam durust tha aur kaun sa galat."
Ye sun kr Ibne Jozi k pas jawb na raha.
Khatoon ne agla sawal kiya.
"ae Ibne Jozi! Kya main Pooch sakti hon ke Ummul Momineen (Aisha) ka (Jange Jamal ke liye) nikalna kis zel me ata hy."
Iske bad ibne jozi ke liye jawab ki gunjaish na thi.
.
Ref. Hazrat Ali Ki Peshen Goiyan by Agha Gul

FaSalooni

'Fasalooni Qabl An Tafaqqaduni' Ali alaih salam.
.
Wo Konsi Cheez Hy Jis Ke Bare Me Khuda Nahi Janta, Wo Kya Chez hy Jo Khuda ke Liye Nahi Aur wo Kya Chez Hy jo Khuda ke Pas Nahi ?
.
Ameeral Mominin (as) jawb dete hyn:
"wo chez jo Khuda nahi janta to ae grooh tmhara ye kehna hy k Hazrat Eesa Khuda k bete hyn, halanke Khuda nahi janta k us ko koi beta hy, aur jo chez Khuda k liye nahi to us ke liye koi sharik nahi, aur wo chez jo Khuda k pas nahi to Khuda k pas na zulm hy na aajzi."

Abuzar Ki 2 Ibadaten

Abuzar (ra) ki Ibadat 2 Chezen Thin:
Imam Jafar Sadiq (as) Ne Farmaya ke Abuzar Ki Aksar Ibadat 2 thin Ek Gaur o Khauz Karna aur dusre Ibrat Hasil Karna.
Ref. KHISAL, Shaikh Sudooq
Urdu, page. 46

Sunday, April 11, 2010

Bata Teri Raza Kya Hy!

Abu-jehlon Se Mt Pucho MaQam-e MUSTAFA kya hy

ALi WaLy Bataen Gay NABi kya hy khuda kya hy

TaLash-e ManziL-e HAQ hy Agr tujko to HUR-Ban ja

Hisar-e kufr Me Betha hua youn Sochta kya hy

ABUTALiB k Baity ki Muhabbat DiL Me Ly jana

khuda Phir tujh Se Puchy Ga Bata teri Raza kya hy.

8 Anay ka Ana

Ek sawal hai aur is ne mujhe bohat sochney pe majboor kiya hua hai.


Pata nahi tumhein b aata hoga k nahi..?

Lekin phir b itni education li hai to tumhein to pata hona chahiye..

Mujhe bas is ka jawab de do..


Sawal ziada mushkil nahi hai..

Lekin ziada asan b nahi hai...


Sawal ye hai k...


.


.


Jab

Murghi

Anda

Free

Mein

Deti hai,

To bazaar

Mein

Rs: 8

Ka

Q

Bikta

Hai?
.
.
.
Jawab by abro
Is ka jwb hy.
Jb Darakht Fruit Free me deta hy to bazar me Peson pe kyon bikta hy?! Jb Bhens Doodh Free me deti hy to hame 40 rupe kilo kyon milta hy?! Jb Zamin Sabziyan Free me ugati hy to bazar me peson pe kyon bikti hyn?! jb Bijli Natural Resources se peda hoti hy to hm Bill kyo pay krte hyn ?! jb Petrol Maadni wasail se hasil hota hy to hme pese kyon ada krne parte hyn ?!
Ab b ager samajh me na aya ho to
Iska simple jwb hy jo bnda jo chez bni bnai tmhare darwaze per puhunchata hy us ko uski ujrat chahiye . . . Ager ap ko uski qeemat chukana pasand nahi to, murghi khud paliye aur anda free me hasil kijiye, bhensh khud paliye aur doodh free me hasil kijiye, . . .
[pehli bt to ye hy k koi b chez free me nahi milti, tmhe us chez ki dekh bhal, khad khurak, waghera ka khayal rakhna parta hy us ko Friut dene k maqam tk puhunchane k liye...]
IS LIYE ANDA BAZAR ME 8 RUPE KA MILTA HY!

Saturday, April 10, 2010

Ilm o Shaoor

Lao Tzu
(Chin k sb se bare mazhb Tauism ka bani) ke mutabiq dusroo ko janna aqal hy jb k apne nafs ko janna Aagahi hy, yani Ilm aur chez hy jb k Maarfat aur she. Aalim malumat rakhta hy jb ke Arif Shaoor rakhta hy. Isi trah dusron ko qabu krne k liye Taqat ki zarurat hoti hy aur apne Nafs ko qabu krne k liye Quwat ki zarurat hoti hy.
-Dr. Aleem Shaikh
Dec. 09

Thursday, April 8, 2010

Khud Shanasi

"Islam me Irtiqa Ko Bari Ehmiyat Hasil Hy. Hadis ka mafhom hy k jis ka Aj Kal se Achha nahi guzra samjho wo Tabah hogaya. Islam Taggaiyur ka qail hy magar Tanazzuli ki soorat me nahi bulke Irteqa ki soorat me. Islam me Nafs ki Taraqqi ke baqaida darjat hyn jo her Insan ko Irteqa ki Manzil k sath hasil karne hyn aur jese jese insan ka nafs irtiqa ki manzil uboor karta chala jata hy, wse wse insan Khuda k qarib hota chala jata hy."
-Dr Aleem Shaikh
Tahira, Dec 2009
Page. 29

Wednesday, April 7, 2010

Shikarpur in 1830 by Mason

Shikarpur
. . . Afghan Khandan abad hochuke hyn, .. Balochi aur Brohi bhi hyn. Magar Sindhi buhut qaleel tadad me hyn. .. Nez in ki aurten badmuashi aur ayyashi k hawale se almi shuhrat yafta hyn.
Charles Masson - 1830
(Sind Ki Samaji o Saqafati Tarekh)

21 Note - Puzzle

Challange!
100 ka change lia shop keeper ne 21 note diye, ye btao k shop keeper ne 1,2,5,10,50 k kitne kitne note diye?
.
.
Possibility 1
50 1
10 1
5 3
2 9
1 7
by lAi
.
Possibility 2
1 x 12
2 x 4
5 x 2
10 x 2
50 x 1
by Suhel
.
Possibility 3
50 10 10 5
2 2 2 2 2 2 2 2
1 1 1 1 1 1 1 1 1

50 x 1 = 50
10 x 2 = 20
5 x 1 = 5
2 x 8 = 16
1 x 9 = 9
by (abro)

Grade Puzzle

Grade Puzzle
The teacher has finished grading the math papers at High School. The class size is under 30. One third of the class got a 'B', one fourth got a 'B-' and one sixth got a 'C'. One eighth of the class flunked and the remainder of the class received an 'A'.
.
How many students in the class received an 'A' ?
.
.
Ans: 3
.
.
Exp:
Class size is below 30. Below 30 a numbr that can have 1/4 1/6 1/3 and 1/8th is only 24. So the class size is 24. 1/3 got B means 8 stdnts. 1/4 got B- means 6 stdnts. 1/6 got C means 4 stdnts. 1/8 flunkd means 3 stdnts. Remaining 3 got A.

Solve Dis - Puzzle

Solve Dis!
A Boy Forgot His
Pin-Code Which Was Of 5 Digits,
But Luckily He Remembered Some Hints How To 2 Remind That Password,
Here Are Those Clues.

1.First Digit Is Equal To The Square Of Second Digit

2.Second Plus 3rd Digit Are Equal To 10

3.4th Digit Equal To The 2nd Digit Plus 1

4.5th Plus 3rd Digit Make 14

5.Sum Of All The Five Digit Make 30.

Find The Pin Code
Let See How Is Your Math...?
Reply ix mst bcuze we r learning.
.
.
.
Ans: 9 3 7 4 7
.
Exp:
.
1. 9. Squre of 3
2. 3
3. 7 [2nd+3rd=10]
4. 4 [2nd + 1]
5. 7 [3rd + remaining = 14]
Hint: you have to gues 2nd (or 3rd) no.
Flaw: everything is not told in puzzle, u Have to guess and calculate.

Einstein Puzzle

Here Comes Einstein Puzzle.
.
1. There are five houses.
2. The Englishman lives in the red house.
3. The Spaniard own the dog.
4. Coffee is drunk in the green house.
5. The Ukrainian drinks tea.
6. The green house is immediately to the right of the ivory house.
7. The Old Gold smoker owns snails.
8. Kools are smoked in the yellow house.
9. Milk is drunk in the middle house.
10. The Norwegian lives in the first house.
11. The man who smokes Chesterfiels lives in the house next to the man with the fox.
12. Kools are smoked in the house next to the house where the horse is kept.
13. The Lucky Strike smoker drinks orange juice.
14. The Japanese smokes Parliaments.
15. The Norwegian lives next to the blue house.
Now, WHO DRINKS WATER?
WHO OWNS THE ZEBRA?
.
In the interes of clarity, it must be added that each of the five houses is painted a different color, and their inhabitants are of different national extractions, own different pets, drink different beverages and smoke different brands of American cigarettes. In statement 6, right refers to the reader's right.
.
.
.
Search Einstein / Zebra Puzzle in Google for Wikipedia Page for Anwer and Explanation!

Friends are Zeros

Friends shOuld be like two zero

When U try to add,
they are the same

When you subtract,
They are again same

but when you try to divide,
its just impossible.

Sukkur Sukkur Hy!

"Sukkur agr pyara na hota"

Lence Down Bridge ka Nazara Na Hota

Lab e Mehran pe Daraye Sindh ka Kinara na hota

Student Ki Chicken Karahi aur Khadu Ki biryani ka taste Karara na hota

Darbar ki Mithayi Ka Swaad Pyara Na hota

Gosha E Alam Taskeen aur Shikarpur Falooday ka sahara Na hota

Muhammad Bin Qasim Park K samney Fawara Na hota

Yeh To Kasoor Hy, Gharibabad aur Shahi Bazar k Bazaron Ka

Wrna Sukkur Ka koi Larka awara na hota

" Sukkur Sukkur Hy "

Puzzle with Ans

5+3=1628
9+1=80810
8+6=28214
5+4=919
Then
7+2=?
.
.
.
Ans
4559
.
Exp.
Add both, put resul right most,
Subract, put 2nd to right (in middle)
Now multiply both Results and put to left.

Khush Ahyon

گلن وانگر کلندا رھو تہ اسان خوش آھیون .
توھان دل کولی یاد کندا رھو تہ اسان خوش آھیون.
اسان اھو ناھیون چوندا تہ فون کندا کریو ،
صرف میسج کری اسان کی یاد کریو تہ اسان خوش آھیون.

Dore Nashad ko Ab Shad Kiya Jayega

Dor e Nashad ko Ab Shad Kiya Jayega
Rooh e Insan ko Ab Azad Kiya Jayega
Is Zameen e Maut Parwardah Ko Dhaya Jayega
Ik Nayi Dunya, Naya Adam Banaya Jayega.
-MAKHDOOM

Sunday, April 4, 2010

Hikayat - Buzurg n Kutta

1 buzurg ne kutte ko kaha ke tu he bohat wafadar per tujh men 4 khamian hen:
1.Tu diwar per peshab kerta he?
2.Tu faqir per bhonkta he?
3.Tu rat men bhonkta he?
4.Subah k wqt chhup jata he?
Kutte ne Allah se dua ki ke mujhe zuban de men buzurg ko smjhaoun Allah ne dua qubul ki kutte ne jwab dia:
1.Zamin per is liye peshab nhin krta ke kahin Allah ka koi banda yahan sajda na kr de.
2.Faqir pe is liye bhonkta hun ke wo gheir-ullah se mangta he.
3.Rat ko is liye bhonkta hun ke ae ghflt men sone walo utho aur apne Rabb ko yad kro.
4.Subah ko is liye bhag jata hun ke nmazyon ko meri wja se koi preshani na ho.!

iQBAL

(IQBAL)
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy

Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye

Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna

Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy

Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.

Sunday, March 28, 2010

Jis Khet Se Dehqan ko . . .

Jis Khet Se Dehqan Ko Muyasar Na Ho Roti,
Us Khet Ke Her Khoshe e Gandum Ko Jala Do.
-iQBAL
.
Phoonk Do Kun Ko Agr Kun Ka Tamasha Hy Yehi
Zindagi Chheen Lo Dunya Se Jo Dunya Hy Yehi.
-mAKHDOOM

Azadiy e Afkar hy Iblees ki Ijad

Azadiy e Afkaar
.
Jo Dooni Fitrat Se Nhi Laiq e Parwaz
Us Murghak e Bechara ka Anjam hy Uftad

Her Seena Nasheeman Nhi Jibreel e Ameen Ka
Her Fikr Nhi Taair e Firdos ka Sayyaad

Us Qaum mai Hy Shokhe e Andesha Khatarnak
Jis Qaum ke Afrad Hon Her Band Se Azad

Go Fikr Khudad se Roshan Hy Zamana
AZADI YE AFKAAR HY IBLEES KI EEJAD
.
iQBAL

udas q ho

Gulab Rutt me haseen chehro Hamen batao udas Q ho,?

Dilon pe beeti sari kahaniyan Sub sunao udas Q ho,?

Jo ranjeshen dil me pal rahi hen, MunafQat me jo dhal rahi hen,

Bhula k shikway mita k doori Galay lagao udas Q ho,?

Kitab-e-dil k tamam safhon pe Hum ne likha hy lafz Mohbat,

Hamein hamari wafa k aagy Saza sunao udas Q ho,?

Fareb khana b mashghala hy Fareb dena b mashghla hy,

To dil k lutne pe kysa maatam,
khushi manao udas Q ho,?

Maut Ka Hamla Achanak Bekhabr Kesa Laga

Aafiyat Ko Bhool Betha Fikr-e-Dunya k Evaz,
Maut Ka Hamla Achanak Bekhabr Kesa Laga?

Hanste Hanste Tu Ne Dunya Mein Guzaar Di Zindgi,
Ab Naya Zaer-e-Zamin Ye Tang Ghar Kesa Laga?

Dafan Ker k Qabar Mein Sab Berukhi Se Chal Diye,
Jis Se Tu Manoos Tha Ab Wo Bashar Kesa Laga?

Tu Hansa Kerta Tha Auron Ko Pareshan Dekh Ker,
Chal Diya Apno Ko Rota Chor Ker Kesa Laga?

Ab Na Wo Takya Mulayim Aur Na Bistar-e-Makhmal,
Jism Per 2 Gaz Kafan Miti Per Sir Kesa Laga?

Farmane Ali (as)

"Apny Khyalon ki Hifaazat kro kyon k ye tumary alfaz ban jaty hain.

Apny Alfaz ki Hifaazat karo kyon k yeh tumary Aamal ban jaty hain.

Apny Aamal ki Hifaazat kro kyon k yeh tumhary Kirdar ban jaty hain.

Aur Apny kirdar ki Hifaazat kro kyon k tumhara Kirdar tumhari Pehchan hota hay".

Itna to Mere Hal Per Ehsan Kiya Kar

Itna to mere haal par ehsan kiya kar,
Ankhon se mera dard pehchan liya kar!

Kuch saath de safar me bohat thak gaya hon mein,
Kuch pal hon tere saath meri maan liya kar!

Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu,
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar!

Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein,
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar!

Apni zaat se wabasta kar mujhe,
Ho kar Khafa mujh se na Meri jaan liya kar

Sindh Ja Hukmuran

SINDH JI TARIKH JA HUKMURAN
.
495-632 (Rao)
632-712 (Brahman)
712-1050(Arabs)
1050-1350 (Soomra)
1350-1520 (Sama)
1521-1555 (Arghoon)
1555-1592 (Turkhan)
1592-1700 (Mughal)
1700-1782 (Kalhora)
1782-1843 (Talpur)
1843-1947 (English)
1947-2010 (Punjabi)!

Hamd

Mehak mein sare Haroof dho kar,

Qalam ko be Aajzi Main Dubo kar,

Sana-e-Rab-e -Jaleel Likhon,

Tavil tar se Tavil likhon,

Jamaal likhon
Jameel likhon
Usi ko Uski Daleel likhon,

Kaha nahi tha kaha nahi hai,

Mujhe Bata wo Jahan nahi hai,

Azal se hai Ta-Abad Rahega,

Wo Aap Apni Sanaad rahe ga,

Wohi to hai La Shareek-o-Yakta,

Wo Sab ka Khaliq Wo Sab ka Malik,

WO Sab K Andar Wo Sab k Bahir,

Wo Sab se Oopar wo Sab k Sir Par,

Raheem-o-Rehmaan Sifaat uski,

Bari Kareem hai Zaat Uski.

Sunday, March 14, 2010

How Poor We Are !

A very rich man went 2 a village with his son. His theme was 2 show his son that HOW POOR CAN PEOPLE BE.
They spent 3 days there. On their return, father askd HOW DID U FEEL?
Son replied EXCELLENT.
Father said SO WHAT DID U LEARN?
Son replied,
"We hav no cattles bt THEY HAV 4."
"We hav a swimming pool which is quite big bt THEY HAVE A LAKE N ITS END CAN'T BE FOUND."
"Our garden has importd lamps bt THEY HAVE A SKY FULL OF STARS."
"Our courtyard ends after few yards bt THEY HAVE THE WHOLE WORLD AHEAD 2 PLAY.
"THNX 4 SHOWING ME HOW POOR WE ARE!"

Logical Series. Puzzle

What is the missing numbr in this logical series?
1
2
6
42
1806
???????
.
.
.
.
Ans:
3263442
.
Exp.
Multiply the with itself BUT ONE LARGER.
1 x 1 But 1 x 2 = 2
2 x 2 not But 2 x 3 = 6
6 x 6 not But 6 x 7 = 42
42 x 43 = 1806
1806 x 1807 = Ans

4 4 4 4. Puzzle

TEST UR I.Q.?

PROVE IT :

4___4___4___4 = 20

you can use any sign of math
to solve it.
.
.
.
.
Ans:
4 / 4 + 4 x 4 = 20
Sahi tarah is tarah likhegen
(4 / 4 + 4) x 4 = 20

72 Heads, 200 Feet. Puzzle

There are serval chickens and rabbits in a cage (with no other types of animals) there are 72 heads and 200 feet inside the cage. How many chickens nd rabbits are there?
.
.
.
Ans:
28 rabbits = 112 feet
44 chickens = 88 feet
28+44=72 heads
112+88=200 feet

Is Qadar Toot k ...

Is qadar toot k Tum k0 chaha hai k hisab nhi,


280+256741 x 4726/ 95670 - 87135 +753 x 7435 / 542692 -85674+562 x [632+5(6+86)= ??

khud he hisab krlo.. :)
.
.
.
.
Iska jawab ye hy
453868.059
;)
:p

Jesica. Puzzle

Lets see how inteligent u r.
Jasica's father has 5 daughters:

1-nana
2-nene
3-nini
4-nono
5-?

What is the name of the 5th one?
.
.
.
.
Ans:
Ofcourse. Jessica.
Read the Question Again.

Math Puzzle

Test ur IQ

If
5 + 3 = 28
9 + 1 = 810
8 + 6 = 214
5 + 4 = 19

Then
7 + 2 = ?
.
.
.
Ans:
59
.
Exp:
Substract 2nd from 1st, you'll get one no. Add both numbers, you'll get another no.

Terrifying Scrabble

Terrifying Scrabble
-PRINCESS DIANA
When you rearrange the letters:
END IS A CAR SPIN

-THE EYES:
When you rearrange the letters:
THEY SEE

-SLOT MACHINES:
When you rearrange the letters:
CASH LOST IN ME

-ELECTION RESULTS:
When you rearrange the letters:
LIES - LET'S RECOUNT

-SNOOZE ALARMS:
When you rearrange the letters:
ALAS! NO MORE Z 'S

-ELEVEN PLUS TWO:
When you rearrange the letters:
TWELVE PLUS ONE

AND FOR THE GRAND FINALE:


-MOTHER-IN-LAW:
When you rearrange the letters:
WOMAN HITLER


%§M§*K¡NG%

Everyone Fight for What He Doesn't Have !

Napoleon was fighting in Poland, some Russian prisoners were brought before him.
Their attitude was humiliating towards the king.
They said: We Russians r far beter than u,u fight for welth and we fight for honour.
Napoleon's reply has ben recorded in histry as: "Everyone fights for what he doesn't have.

Jadugar - Puzzle

Ek sawal ?
3 makan hain
har makan k indar 1 jadoogar hai
har makan k bahar ek chokidar hai

makan k indar jate waqt b chokidar ko 2 ruppe dene parhte hen aur bahar aa'te waqt bi 2 dene he,

Har maka'n k ander Jadogar he jo aap k pe'se double kar dega,
Aap ko karna ye he k jb aap last makan se bahar aao.
To aap ka amount 0 hojae,

Tell me Ur initial amount?
.
.
.
.
Ans:
Sawa 5 rupe (5.25)
.
Explanation:
1hla Chkdar. -2 = 3.25
1hla jadugar. x2 = 6.50
1hla chkdr. -2 = 4.50
2sra chkdr. -2 = 2.50
2sra jadugar. x2 = 5
2sra chkr. -2 = 3
3sra chokdar. -2 = 1
3sra jadugr. x2 = 2
3sra chojdr. -2 = 0

صبح تهي_

صبح تھی پکین کھولیا پک،
کن میڑیا ماٹک موتی
کن میڑیاکک.
ملیا انھن کی لکھ جن امید نہ لاتھی اللہ مان.
(شاه)‏

Usy Barishon Ne Chura Liya...

Usy Barishon Ne Chura Liya K Wo Baadlon Ka Makeen Tha,
Kabhi Murh K Ye Bhi To Dekhta K Mera Wajood Zameen Tha

Wohi Ek Sach Tha Or Is K Bad Sari Tohmaten Jhoot Hen,
Mere Dil Ko Pura Yaqeen Hai Wo Muhabbaton Ka Ameen Tha

Usy Shok Tha K Kisi Jazire Pe Us K Naam Ka Phool Ho,
Mujhe Pyar Karna Sikha Gaya Mera Dost Kitna Zaheen Tha

Kabhi Saahilon Pe Phiro Ge To Tumhen Sippiyan Hi Batayen Gi,
Meri Ankh Mein Jo Simat Gaya,
Wohi Ashk Sabse Haseen tha..

Yeh Barishien...

" YEH BARISHIEN "

Yeh barshien b tm si hain,
Jo baras gai to bahar hain,
Jo theher gai to qarar hain,
Kbi aa gai yunhi besabab,
Kbi chaa gai yunhi roz-o-shab,
Kbi shor hain,
kbi chup si hain,
Yeh barshien b tm si hain,
Kisi yaad main kisi raat ko,
ik dabi hui si rakh ko,
Kbi youn hua k bujha diya,
Kbi khud se khud ko jala diya,
Kahin bond bond main gum si hain,
Yeh barshien b tm si hain...!
Happy rainy day

...na Hoi thi*

Is Shehar main aesi bhi Qayamt na hoi thi*

Tanha thay magr khud se to Wehshat na hoi thi*

Ye din hain k Yaron ka Bharosa bhi nhi hay*

Wo din thay k Dushman se bhi Nafrat na hoi thi*

Ab Saans ka Ehsas bhi ek
Bar-e-Graan hay*

Khud apne khilaf aisi Baghavat na hoi thi*

Ujray huay is DIL k har ik Zakham se pucho*

Is Shehar main Kis Kis se Mohabbat na hoi thi?

Khwabon ki hawa Raas thi jab tak Mujhe Mohsin*

Yoon Jaagtay Rehna meri AADAT na hoi thi...!!

...k Bus !

Aise toota hai tmannaon ka pindaar k bus

Dil ne jheley hain mohabat mai wo "Aazaar" k bus

aik jhonkey mai zamaney mere hathon se gaye!

is qadar taiz hui waqt" ki raftar k bus

tu kbi rakh k mujhey dekh baazar k beech!

is trah toot k aain ge kharidar k bus

kal b sadyon ki "musafat" se prray they dono

Darmeyan aj b parti hai wo "deewar" k bus

ye to ik zid hai k MOHSIN me shikayat na karun

warna shikwey to hain itne mere yar! k bus...!

When i Got... Shakespear

When I got enough confidence,
the stage was gone.

When I was sure of losing,
I won.

When I needed people the most,
they left me.

When I learnt to dry my tears,
I found a shoulder to cry on.

And

When I mastered the skill of hating,
somebody started loving me.

This is LIFE !


(William Shakespear)

...to Behtar hy...

Sarapa-E-Ashk hoon main ab bikhr jaon to behtar hy,


Jidhar jatey hen ye badal udhar jaon to behtar hy,


Ye diL kehta hy Tere shehar main kuch din thehar jaon,

Magar halaat kehte hain k ghar jaon to behtr hy,


DiLon main farq aaen gy, talluq toot jaen gy,


Jo dekha jo suna us se mukar jaon to behtar hy,


Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe ga Ab Mohsin!

Main koshish kr k ab khud hi badal jaon to behtr hy...

Ankhain

Ye MAST MAST Be-Misal Ankhen

Nashay Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthen To Hosh-o-Hwaas Cheenen

Giren To kr Den kamal Ankhen

Koi Hai ¡nn k Karam ka Talib

Kisi ka Shok-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kch Ye khyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Prwar Jamal Ankhen

Draz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kmal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram krdi

Mgr Rkhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal Hue
Hen

Khuda k Banday! Smbhal Ankhen.

Friday, March 12, 2010

When i Got ...

When I got enough confidence,
the stage was gone.

When I was sure of losing,
I won.

When I needed people the most,
they left me.

When I learnt to dry my tears,
I found a shoulder to cry on.

And

When I mastered the skill of hating,
somebody started loving me.

This is LIFE !


(William Shakespear)

Sunday, February 28, 2010

welcome to my SINDH

Welcome To My
<.."SINDH"..>

Romance of Thar.

Fertility of
Mehran..

Forts of
Kot diji ,Rani-kot..

Depth of
Keenjhar &
Manchar..

Height of
Kheerthar..

Oil of Laar..

Gas of Qadirpur..

Coal of
Karoonjhar..

Dignity of
Sehwan & Bhitt-Shah..

History of
Moen-Jo-Daro..

Sand of
Sehra-e-Thar..

Poetry of
SHAH,
SACHAL,
SAAMI,
AYAZ..

Long Shores of
River INDUS..

Sweet Dates of
Khair Pur..

Achar of
Shikar Pur..

Ajrak of
Tando M.Khan..

Sindhi Topi of
Jacobabad..

Tiles of Hala..

Fish of Thatta..

Mehndi of Mehar..

Winds of
Jamshoro..

Mangoes of
Mirpurkhas..

Bangles of Hyderabad..

Kheer-pera of
Ghotki &Nasrpur..

Chunri of "Badin'..

Ice cream of
Matiari:

Intarnationl city Karachi,

Shaheed's of
Larkana..

* Proud *
* to b *
* a Sindhi *

Mujhe Kya Huwa Hy

Mujhe kya huwa hay yeh aaj kal, kuch ajeeb sa mera haal hay,,

Mujhe zindagi bhi aziz hay mujhe mout ka bhi khayaal hay,,

Tu mila to ban gaya ajnabi, mujhe phir bhi koi gila nahi,,

Teri berukhi bhi kamal hay, mera hosla bhi kamaal hay,,

Tere pas jitne sawal thy, mere pas un ke jawaab thy,,

Tu jawab jis ka na de sake, mere lub pe woh sawaal hay,,

Mere yaar baat zara si yeh, aaj tak na samajh sake,,

Jahan hoon shakook urooj per, wahin
"MOHABBATON" pe zawaal hay......

... Te Ki Keeta

Zehar veikh k pèéta te ki pèéta,

ISHQ soch k kèéta te ki kèéta,

Dil de k Dil lain di ääs rkhi,

PYAR eho jeya kèéta te ki kèéta..
-Bullah Shah

Wednesday, February 24, 2010

mythical birds

Mythical Birds
w/ Western Eastern Names
.
Osprey - هما
a large fish-eating bird with black and white feathers
.
Griffin / Phoenix - عنقا
a legendary Arabian bird said to set fire to itself and rise anew from the ashes every 500 years
.
Simurgh / Roc - سيمرغ ‏/‏ رخ
A giant bird which eats elephant. (Arabian Rukh)
.

Monday, February 22, 2010

Kön Banta Hy

Yahan khamosh nazron ka nazara kon banta hay,

Boht gehre samandar ka kinara kon banta hy,

Chalo Hum dekhte hen ab khud ko barbad kar k b,

Hamari barbadiyon me b hamara kon banta hy,

Bina phal k darakhton ko yahan pe kata jata hy,

Kisi b besahara ka sahara kon banta hy,

Koi shesha agar tutey t0 waps jur nahi sakta,

Muhabat me fanna ho kar dobara kon banta Hy,

Chalo phir Azma lo Tum sabi apne pyaron ko,

Tumhare dard me dekhen Tumhara kon banta hy..

No Pain No Gain

Heated Gold becomes ornament ;
beated Copper becomes wire ;
depleted stone becomes statue ;
so, the more pain u get in life, more Valuable u become.

Saturday, February 13, 2010

Sindhu Main Selab

ریشم جنھن جو روح, اندر تن جو آب،

منھنجون اکیون ایئن روئن جئن سندوء م سیلاب,

مولا کندو میلاپ منھنجو محبوبن سان.
{شاھ صاحب}

2 Din Ki Zindagi

Ye Zindgi 2 din ki hy
1din Tery haQ me Or 1 din Tery
khilaf
Jo din Tery haQ me ho us din ghuror mt Krna
Or jo Tere khilaf ho
us din sabar Krna
HAZRAT ALI(A.S)..

Khwabon Main Basnay Walon Ko

Khwabon main basnay waalon ko

Hum dil main basaya karte hain

Kuch anjaani si khushiyon se

Hum G behlaya karte hain

Ek rog lagaya apno ne!

Ek chot lagi begaano se!

Aise hi dil ki choton ka

Hum Jashan manaya karte hain

Koi pyar k deep Jalata hai

Koi pyar k deep bujhata hai

Hm teri yaadon k diye

Raaton ko Jalaya krte hain

Ab kis ko sunayen haal apna?

Ye log to pathar dil thehre

Hum apne gham ka afsana!

Ab khud ko sunaya karte hain!!

Tum Jeet Gaye, Hum Haar Gaye.

Kabhi jeet gaye
kabhi har gaye

Kabhi apny,
kabhi ghair humy mar gaye

Kal jo khushioun mein shareek thy
Aaj chor wo yaar gaye

Na mili mohabat hamein kisi se
Dhondny har gali bazaar gaye

Qurban jaoun un ki ulfat pe.
Jo mohabat ke ghaltion ko nikhar gaye

Hamein mili akhir berukhi bewafai.
Sub qasmein sub waady bekaar gaye

Ay dost manzil mubarak ho tumhein

Tum jeet gaye
Hum haar gaye...

Thursday, February 11, 2010

Kabhi Wo Khafa Kabhi Mai Khafa

"Yunhi ranji$hon mai guzr gye..!
"Kbi Wo khafa..!
"Kbi Mai khafa..!


"In Chahaton k morr pr..!
"Kbi wo ruka..!
"Kbi Mai ruka..!


"Wohi raa$tay..!
"wohi manzilen..!
"Na u$ay khabar
"na mujy pta..!


"Apni Apni anaa mai gum..!
"Kbi Wo juda..!
"Kbi mai juda..!

Monday, February 8, 2010

Tnhai Me Kis Ke Sahare Chhor Gaya Tha

Aansu Nhi Thmtay Meri Aankhon Main Abi Tak.

Jatay Huey Rota Wo Mujhe Chor Gya Tha.
.
Armañon Ki Dunia K Anmol Se Spnay.

Pl Main Wo Mere Samnay Sb Tor Gya Tha.
.
Jaan Deta Tha Meri Hr Baat Pe Lekin Yoonhi.

Be_Sbabb Dunia Se Meri Rukh Mor Gya Tha.

Din Ki Tnhai Ka Gham, Raton Ki Udasi Hmrah.
.
Rishta Mera Sare Ghmon Se Jor Gya Tha.
.
Ay Kaash Koi Ja K Usay Aaj Ye Pooche.
.
Tnha Mujhe"KIS"K Saharay Chor Gya Tha..

Tuesday, February 2, 2010

Not 4 Elements

Mujhe hairat he k aristotle (Arastu) jaisa insan is chez ki taraf q mutawajja nhi hoa k khakh aik unsur(element) nhi he blke is k ander bht se unasir(elements) mojoud hen or is men jitni dhaten(metals) hen wo sb aik judagana unsur hen
Imam Jafer sadiq's objctn on Aristotle that there are only 4 elements earth, air, water n fire.
.
Ref. Took this fron SUPERMAN OF ISLAM..

Sunday, January 31, 2010

Khudkash Hamle

Excerpts:
-Khudkash bambar hamle karte waqt roze se hote hy,
Chand ek Quran k Hafiz hote hyn.
-Khudkash jackt Sri Lanja ki Dehsht gard Tanzim Tamil Tigers ne mutarif karai.
-Ek khudkash jackt per 10 hazar rupe ka kharcha ata hy aur ek am admi b use tayar kr sakta hy.
-Do mubinah khudkash bambar larkiyan bhi grftar ki gai hyn. Rabea aur Arifa, 14 16, unhun ne bataya k unhon ne Molvi Fazlullah k FM chanl per taqareer sun kr khudkash bambar bnne ka fesla kiya.
-
Khudkash Hamlon ki Tarekh
1. Pehli Sadi Eesvi Yahudi Firqa 'Zealot'
2. 11ven sadi, Hasan bin Sabb, Mazhbi Muballig
3. 2nd World War, Japani, Kamikaze
4. 1983, Phalistine against Israel, Beirut
5. 1991, Sri Lanka, Tamil Tigers
.
Pakistan me Khudkash Hamlon ki Tareekh
1. 1st 19 Nov 1995, Isb, Egyptian Embassy.
2. 2nd 14 Jun 2002, American Embassy
3. 25 Dec 2003, Pervez Musharaf
4. 2004, 5 Blasts
5. 2005, 2
6. 2006, 5, Allama Husen Turabi
7. 2007, 8, Benazir Bhutto
8. 2008, 25,
9. 2009, 87,
.
Ref. Sunday Exp. Mag, 31 Jan '10

Wednesday, January 27, 2010

Bill Gates - Quote

"I was a good student,studied everything but never topped,But today the toppers of the best universities are my employees"-Bill Gates

Tuesday, January 26, 2010

Manzil

Zindgi ki sabse Bari Sachai-Kabaristan ke Bahar Board par likhi thi,

"Manzil to meri yahi thi, Bus ZINDAGI guzar gayi meri yahan Aate Aate"

Sunday, January 24, 2010

Taiz Barish Mai Kbi Srd Hwaon Mai Rha

Taiz Barish Mai Kbi Srd Hwaon Mai Rha

Ek Tera Zikr Tha Jo Meri Sadaon Mai Rha

kitny Logon Se Meray Gehry Mrasim Thy Mgr

Tra chehra He Fqt Meri Duaon Mai Rha¤

Saturday, January 23, 2010

Kyon Ho ?

Gulab Rutt me haseen chehra Hamen batao udas Q ho,?

Dilon pe beeti sari kahaniyan Sub sunaou udas Q ho,?

Jo ranjishain dil me pal rahi hen, MunafQat me jo dhal rahi hen,

Bhula k shikway mita k doori Galay lagao udas Q ho,?

Kitab-e-dil k tamam safhon pe Hum ne likha hai lafz Mohbat,

Hamein hamari wafa k aagy Saza sunao udas Q ho,?

Fareb khana b mashghala hy Fareb dena b mashghla hy,

To dil k lutne pe kaisa maatam,
khushi manao udas Q ho,?

Nasir

Friday, January 22, 2010

Chupke Chupke Ro Lena

Jab seena ghum se bojhal ho,
Aur yaad kisi ki ati ho,
Tab kamre main bund ho jana,
Aur chupke chupke ro lena

Jab Aankhein bheegi ho jayen,
Aur yaad me us ki bhar ayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,
Aur chupke chupke ro lena

Jab palkain Qurb se moundi hon,
Aur sub samjhein tum soye ho,
Tab mounh par takiya rakh lena,
Aur chupke chupke ro lena

Ye dunia zalim dunia hai,
Ye bat buhat phailaey gi,
Tum samne sub k chup rehna
Aur

chupke chupke ro lena.

Nasir

Wednesday, January 20, 2010

7 Beings Born without Mother

Wo konse "7" Jandar hain jo baghair Maa k peda howay. ...!!

1) Hazrat ADAM (A.S)

2) Hazrat BIBI Hawwa (A.S)

3) Hazrat Muhmmad (saww) ko mayraj per lejanay wala Burraq.


4) Hazrat Saleh (as) ki ountni.

5) Hazrat Yunas (as) ko peat me rakhnay wali Machly (Fish).

6) Hazrat Mosa (as) k asa mubarak se bunne wala azdaha,

7) Hazrat Ismail (as) ki Qurbani k waqt jannat se aanay wala Dumba.

AGE appears Best

"AGE Appears Best in some things,.
>Old WOOD best to burn,
>Old BOOKS best to read,
>Old RICE best to eat,
and
>Old FRIENDS are best to keep!

Woman to Doc..

Woman to Doc:
My husband has the habit of talking in his sleep. What should I give him to cure him?

Doc:
Give him a chance to speak when he's awake...!

Unbeatable Lines

Unbeatable Lines

Our body is fully made of water
but whenever it hurts,
Blood comes out.

Our Heart is full of Blood
whenever it hurts,
Water comes out.

Jab Jobhan Tera Dhal Jaey

Jab Jobhan Tera Dhal Jaey

Jab Pyar Ki Umer Niakl Jaey

Jab Chor De Tujh Ko Husn Tera

Jab Chehra Pur Ho Jhurion Se

Jab Zulf Ke Kham Na Baqi Hun

Jab Rangat Na ho Galon Mein

Jab Chandni Utare Balon Me

Jab Ankh Ki Masti Toot Chuke

Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaein

Jab Chor Dein Tujh Ko Sub Sathi

Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye

Tab..!

Mere Pas Chale Aana

Basti Ki Suni Galion Me

Ek Betha Ho Ga Deewana

Jo Pyar Ka Paras Pathar Hai

Jo Tujh Ko Sona Ker De ga..!

Tere Joban Ko Woh Kia Jane??

Teri Umer Se Us ka Kia Matlab??

Tere Jism Se Us ka Kia Rishta??

Jisay Kehte Ho Tum Harjayi

Hai TEry Naam Ka Shaidayi.

Wednesday, January 13, 2010

Welcome to My SINDH

Welcome To My
<.."SINDH"..>

Romance of Thar.

Fertility of
Mehran..

Forts of
Kot diji ,Rani-kot..

Depth of
Keenjhar &
Manchar..

Height of
Kheerthar..

Oil of Laar..

Gas of Qadirpur..

Coal of
Karoonjhar..

Dignity of
Sehwan & Bhitt-Shah..

History of
Moen-Jo-Daro..

Sand of
Sehra-e-Thar..

Poetry of
SHAH,
SACHAL,
SAAMI,
AYAZ..

Long Shores of
River INDUS..

Sweet Dates of
Khair Pur..

Achar of
Shikar Pur..

Ajrak of
Tando M.Khan..

Sindhi Topi of
Jacobabad..

Tiles of Hala..

Fish of Thatta..

Mehndi of Mehar..

Winds of
Jamshoro..

Mangoes of
Mirpurkhas..

Bangles of Hyderabad..

Kheer-pera of
Ghotki &Nasrpur..

Chunri of "Badin'..

Ice cream of
Matiari:

Intarnationl city Karachi,

Shaheed's of
Larkana..

* Proud *
* to b *
* a Sindhi *

Tuesday, January 12, 2010

Jo Ek Hy Do Nahi . . .

Fw
Hazrat ALI A.S Sey Kisi Shaks Ney Poucha K Wo Kon Si Cheez Hai Jo Aik Hai Doo Nhi
2 Hy 3 Nhi
3 Hy 4 Nhi
4 Hy 5 Nhi
5 Hy 6 Nhi
6 Hy 7 Nhi
7 Hy 8 Nhi
8 Hy 9 Nhi
9 Hy 10 Nhi
10 Hy 11 Nhi
11 Hy 12 Nhi
Hazrat Ali A.S Ney Muskratey Hovey Jwab Diya

1 Hai 2 Nhi= 'ALLAH'
2 Hai 3 Nhi= 'Adam 0r Bibi Hwa'
3 Hai 4 Nhi= 'Zindgi K Hissey
(Bchpun, Jawani Burhapa)
4 Hai 5 Nhi='Asmani Kitab'
5 Hai 6 Nhi= 'OUL-UL-Azm Pegmbr'
6 Hai 7 Nhi= 'Zameen K Tabqy'
7 Hai 8 Nhi= 'Asman'
8 Hai 9 Nhi= 'Jannat K Drwazy'
9 Hai 10 Nhi= 'Jannat Ki Nehrey'
10 Hai 11 Nhi='Jahnum K Tbqey'
11 Hai 12 Nhi= Hzrat YOUSUF K Bhai
!!!

F.U.C.K History

In Ancient times in England before U had sex, U needed special permission from the king.
People who got permission used to hang a card on the door written as
"FORNICATION UNDER THE CONSENT OF KING"...dats F.U.C.K for short...

now u know whr ths cute wrd came frm?

Zamana Dost Hojay To ...

Zamana Dost Hojaye Tu Bohat Mohtaat Ho jana_
K Is K Rang BadaLney Me Zara Si Dair Lagti Hy_

Koi Jo Khuwab Dekho Tu Usay Foran BhuLa Dena_
K Neenden Toot Janey Me Zara Si Dair Lagti Hy_

Kisi Ko Dukh Kabhi Dena Tu Itna Soch Kr Dena_
Kisi Ki Aah Lagney Me
Zara Si Dair Lagti Hy_.

5 Qs (Islamic)

Q1.Quran e pak mein kitni masajid ka zikr hai naam bataen?
-1. MASJID E HARAM
[SURAH. Baqarah. 125, Al Imran. 96, Maida. 97, Hajj. 29]
2. MASJID E AQSA
[Surah. Bani Israel. 1]
3. MISJID E QUBA
[Surah. Taubah, 108-109]

Q2.Quran e pak ki sub se choti surah ka naam bataen?
-SURAH KAUSAR (108)
Total Ayat. 3

Q3.Nahaj jul balagha kis danishwar ne tarteeb di?
-Syed Muhammad Razi (ar)
Ap ka Nasab 4 pushton se Imam Kazim (as) se milta hy.
.
Q4.Hazrat imam e Hussain (as) ne noke sina par konsi konsi ayat tilawat farmae thi.
-SURAH KAHF, AYAT 09 (?)
AM HASIBTA...

Q5.Hazrat Abdullah aur hazrat abu talib ki walda ka naam bataen?
-ABDULLAH, ZUBAIR aur ABU TALIB, ABDUL MUTALLIB KE 3non BETE EK HI MAA SE THE, IN KI MAA FATIMA bnte AMAR bn AAIZ bn IMRAN bn MAKHZOOM thin.
(rf. Tarekh Tabari, jild Døm)

Suna Hy . . .

"Suna hay jungalon ka bhe koi dastoor hota hay"

suna hay,
shair ka jub pait bher jaay
to wo hamla nhin krta

suna hay,
hawa k taiz jhonkay jab darkhton ko hilatay hen
to
Mena apnay ghar ko bhool kr
kawway k andon ko paron men tham leti hay

suna hay,
ghonslay say jab koi baccha giray to
sara jungal jaag jata hay

suna hay,
koi pul toot jaay
or
sailab ajaay to
kisi lakri k takhtay par
gulehri, saamp, cheeta or bakri sath hotay hain

SUNA HAY JUNGALON KA BHE KOI DASTOOR HOTA HAY

Khuda e Munsif o Akbar! Hamaray mulk main ab Junglon ka he koi dastoor naafiz kar..

Hadees e Husayn a.s

Jo khuda ki iBadat ka Poora HaQ Ada krta hai to khuda Usy Us ki Zaroorat
Or
TaLab Se kahin Ziada Ata krta hy..

"IMAM HUSAiN Alaih Salam"

Likhna Mita Dena

Nahi mumkin andheron myn chiragon ka buja dena

Boht mushkil hy meri JaN tumhen dil sy bhula dena

Tumhen ik din sataenge meri chaht k sab jazbe,
Meri ghazlen meri nazmen mere khat ßi jala dena

Kabi jo yad aon main tumhen fursat k lamhon myn,
Haseen hathon sy kagaz pr muje likhna mita dena..

Shaair Ke Tasavvur Mein Tasveer Hoti Hy

Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he

To ahl-e-dil smjhty hain yahi taqdeer hoti he

Tujhy khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain

Suna he sare khawbon ki ult taabir hoti he

Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aaye

Yhi chaht ksi k paon ki zanjeer hoti he

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti

K Sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti he

Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati

K shaayer k tasavvur me koi tasveer hoti he...

Dar e Haider Talash Kar

Manzil Ki Aarzu Hy To Rehbar Talash Kr,
Mehshr Sy Phly Shafa-e-Meshar Talash Kr,
Aisa Na Ho Bhatkta Rahe To Hujoom Main,
Mil Jaega KHUDA Dar_E_HAIDER Talash kr.

Tuesday, January 5, 2010

its all upon you

Your life is as lonely as you would like to make,

your joy is as much as you decide to feel,

your night is as long as you decide to wake,

your destination is as far as you decide to walk,

No one sets the limits for you,

No one can catch the span of the sky...

Your sky is as much as you would want to reach,
All you need to do is rise...

Spread your wings and decide to fly...

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...