Sunday, March 14, 2010

Yeh Barishien...

" YEH BARISHIEN "

Yeh barshien b tm si hain,
Jo baras gai to bahar hain,
Jo theher gai to qarar hain,
Kbi aa gai yunhi besabab,
Kbi chaa gai yunhi roz-o-shab,
Kbi shor hain,
kbi chup si hain,
Yeh barshien b tm si hain,
Kisi yaad main kisi raat ko,
ik dabi hui si rakh ko,
Kbi youn hua k bujha diya,
Kbi khud se khud ko jala diya,
Kahin bond bond main gum si hain,
Yeh barshien b tm si hain...!
Happy rainy day

...na Hoi thi*

Is Shehar main aesi bhi Qayamt na hoi thi*

Tanha thay magr khud se to Wehshat na hoi thi*

Ye din hain k Yaron ka Bharosa bhi nhi hay*

Wo din thay k Dushman se bhi Nafrat na hoi thi*

Ab Saans ka Ehsas bhi ek
Bar-e-Graan hay*

Khud apne khilaf aisi Baghavat na hoi thi*

Ujray huay is DIL k har ik Zakham se pucho*

Is Shehar main Kis Kis se Mohabbat na hoi thi?

Khwabon ki hawa Raas thi jab tak Mujhe Mohsin*

Yoon Jaagtay Rehna meri AADAT na hoi thi...!!

...k Bus !

Aise toota hai tmannaon ka pindaar k bus

Dil ne jheley hain mohabat mai wo "Aazaar" k bus

aik jhonkey mai zamaney mere hathon se gaye!

is qadar taiz hui waqt" ki raftar k bus

tu kbi rakh k mujhey dekh baazar k beech!

is trah toot k aain ge kharidar k bus

kal b sadyon ki "musafat" se prray they dono

Darmeyan aj b parti hai wo "deewar" k bus

ye to ik zid hai k MOHSIN me shikayat na karun

warna shikwey to hain itne mere yar! k bus...!

When i Got... Shakespear

When I got enough confidence,
the stage was gone.

When I was sure of losing,
I won.

When I needed people the most,
they left me.

When I learnt to dry my tears,
I found a shoulder to cry on.

And

When I mastered the skill of hating,
somebody started loving me.

This is LIFE !


(William Shakespear)

...to Behtar hy...

Sarapa-E-Ashk hoon main ab bikhr jaon to behtar hy,


Jidhar jatey hen ye badal udhar jaon to behtar hy,


Ye diL kehta hy Tere shehar main kuch din thehar jaon,

Magar halaat kehte hain k ghar jaon to behtr hy,


DiLon main farq aaen gy, talluq toot jaen gy,


Jo dekha jo suna us se mukar jaon to behtar hy,


Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe ga Ab Mohsin!

Main koshish kr k ab khud hi badal jaon to behtr hy...

Ankhain

Ye MAST MAST Be-Misal Ankhen

Nashay Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthen To Hosh-o-Hwaas Cheenen

Giren To kr Den kamal Ankhen

Koi Hai ¡nn k Karam ka Talib

Kisi ka Shok-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kch Ye khyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Prwar Jamal Ankhen

Draz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kmal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram krdi

Mgr Rkhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal Hue
Hen

Khuda k Banday! Smbhal Ankhen.

Friday, March 12, 2010

When i Got ...

When I got enough confidence,
the stage was gone.

When I was sure of losing,
I won.

When I needed people the most,
they left me.

When I learnt to dry my tears,
I found a shoulder to cry on.

And

When I mastered the skill of hating,
somebody started loving me.

This is LIFE !


(William Shakespear)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...